Aik ghar tha, aik maidan tha
Kuch khait thay, khalyan tha
Woh ghar main tanha toh na thee
Handi thee choolhay par charhi
Aata gundha tayyar thaa Jhoolay main aik bacha bhee tha
Pinjray main aik tota bhee tha
Aur taaq main Quran tha
Jis par usay iman tha
Bachay ko behlati thee woh
Choolhay ko sulgati thee woh
Totay ko sikhlati thee woh
'achay mian mithoo kaho: Bhaijo nabi ji barkatain
Bhaijo nabi ji barkatain
Aal-e-nabi ka wasta
Aal-e-nabi ka wasta’ Aik din achanak kia hua
Thokar se darwaza khula
Aik janwar insan numa
Panjon ko lehrata hua
Kamray main aata hi gaya
Har shay pe chhata hi gaya
Chadar jo sar se khich gai
Quran ka chehra dhak gai
Roti taway par jal gai
Handi ubal kar reh gai
Bachay ka jhoola gir para
Tota pharrak kar cheekh utha Bhaijo nabi ji barkatain
Bhaijo nabi ji barkatain
Aal-e-nabi ka wasta
Aal-e-nabi ka wasta’
***Par koi aaya hi nahi…
Subh dum jo dekha tha
Kia hara bhara ghar tha
Daanti hui biwi
Bhagtay huye bachay
Rassiyon ki baanhon main
Jhooltay huye kapray
Boltay huye bartan
Jagtay huye choolhay
Aik taraf ko gurya ka
Adh bana gharonda tha
Duur aik konay main
Cycle ka pahiyya tha
Murghiyon ke darbay thay
Kabukain theen, pinjra tha
Tees gaz kay aangan main
sab hi kuch toh rakha tha...... Aik pal main ye manzar
Kiyoon badal sa jata hai
Aik dhuan sa uthta hai
Haan magar dhundalkay main
Kuch dikhai deta hai
Ja'namaz ka kona
Jhariyon main uljha hai
Safha-e-Kalam-e-Pak
Khaak par larazta hai Sath aur khabron ke
Ye khabar bhee chhapti hai
Log isko parhtay hain
Batain hoti rehti hain
Kaam chaltay rehtay hain
Ambulance Edhi ki
Ban karti aati hai
Sab jali kati laashain
Sath le ke jati hai
Subha tak sabhi laashain
Dafn kar di jati hain
Aurton ki, bachon ki
Boorhon aur jawanon ki
Masjidon se hoti hain
Baarishain azaanon ki
La ilaha illallah
La ilaha illallah
Kisi shehr main aik kafan chor aaya
Jo raaton ko qabron main surakh kar ke
Tan kushtagan se kafan khainch laita
Akhir kaar pakra gaya
Aur us ski munasib saza ho gai Kuch hi din baad aik doosra chor warid hua
Jo kafan bhee churata
Qabr ko bhee khula chhorr deta
Doosra chor bhee rukn-e-insaaf ke paas laya gaya
Aur mehman-e-zindaan hua Phir yakayak kisi teesray chor ka ghul macha
Jo kafan bhee churata
Qabr ko bhee khula chhorr deta
Aur murda badan ko barhana kisi raah par daal deta
***Shehr walay jab uss ko adalat main laaye
Toh qazi ne uss ko saza sunatay huye
Faisla yun likha
“Khudawand pehlay kafan chor ko apni rehmat main rakhna ke who aadmi khoob thaa”
Arjay, can plese some info Zehra Negar. I have heard her name before but don't know much about her.
SURE..it will be my pleasure---that I am a family friend to this great poetess who belongs to the family of high literary achievements....including showbiz; Anwar Maqsood, Bajya and Anwar Bhai's wife--a playwrite herself; Imrana Maqsood and of course her brother Late Ahmed Maqsood Hameedi...former Chief Secretary Sindh.
Zehra Aunty's husband Majid Ali was Addl.Secretary Finance in Islamabad. He was hand picked by H.H.Shaikh Zayed Bin Sultan Al Nahyyan, the Ruler of Abudhabi...as his Finance Advisor...that Majid Uncle and Zehra Aunty lived in Abudhabi and London for quite sometime.
I have also downloaded some of her recitals of 1963 at Karachi and the link will be copy-pasted here alongside a brief note on ZEHRA NIGAH.