zehanon mein Khayaal jal rahe hain

**zehanon mein Khayaal jal rahe hain
sochon ke alaav sey lage hain

duniyaa kii girift mein hain saaye
ham apanaa vujuud Dhuundhate hain

ab bhuukh se koii kyaa maregaa
mandii mein zamiir bik rahe hain

maazii mein to sirf dil dukhate thay
is daur mein zehan bhii dukhe hain

sir kaatate thay kabhii shahanshaah
ab log zubaan kaatate hain

ham kaise chhuraayen shab se daaman
din nikalaa to saaye chal pare hain

laashon ke hujuum mein bhii hans dein
ab aise bhii hausale kise hain**

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

Eidi na milne the nahi mili EB se
bas awien mein Galay milay haiN

:teary2:

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

galay toh milay thay aap say lekin
baad mein dekha toh wallet ghayab tha. :frowning:

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

KabaY kis mouh se jaaiN gay AP EB kay
Khali wallet lay kar GhomTey sharam bi nahi atii

:(

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

ChanD Tasver-e-BuTTan , chaNd haseeno k kahTooT
DasToN EB k wallet se yea SaaMaan niklaa

:D

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

hamay maloom tha kinn logon say wasta parey ga
issi liye wallet ghar say khali ker kay chaley thay

Aab kiya sub logon kay samany saray qissay kholo gey. :emmy:

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

:omg:

yahan to baray baray poets baithay hain :stuck_out_tongue:

PS…Umdah ghazal hai Ehsan bhai :k:

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

:omg:
lagey raho donno munna bhaiz :smiley:

Re: zehanon mein Khayaal jal rahe hain

ehsan uncle :k: