Zeest kay jazeeron mein
Rooh kay andheron mein
Dil ke sard khaanon mein
Ajnabi thikanon mein
Main nay tujh ko dhoonda hai
Shore hai samandar ka
Ya kay apnay andar ka
Ghantiyon kay bajnay mein
Khuahishon kay sapnay mein
Main nay tujh ko dekha hai
Baarishon kay mosam mein
Bheegti see shabnum mein
Phool ki mehek mein bhi
Piyaar ki dhanak mein bhi
Main nay tujh ko paaya hai
Paanioon kay saahil mein
Har nayee see manzil mein
Zindagi kay safar mein
Har dua kay aakhir mein
Main nay tujh ko maanga hai
Zeest pareshaan kar kay
Aaj ka dhiaan kar kay
Guzray kal ko bhi parh kar
Zindagi say bhi barh kar
Main nay tujh ko chaaha hai.
– Unknown