Zavia Jitna Nigahon ka Sanwar jata hy
Tera rukhsar bhi utna Hi nikhar Jata hy
Aisy lamhaat bhi aaty Hain raah-e-ulfat Mein
Ya wafa Hath se Jati hy ya Sar jata hy
Main tere Gham mein Bhala ashk Bahaoun kab tak
Aankh to aankh hy darya B utar jata hy
Hasti-e-Gul hy faqat chand adaon Pe muheet
Phool Sharmata hy Hansta hy Bikhar jata hy
Qurbat-e-yaar se Mohsin ko baqa milti hy
Zarf Parwany ka Chota hy jo mar jata hy
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka…
**Aankh to aankh hy darya B utar jata hy 
dil ke darya ko bhi ik din utar jana hai :hinna:
**
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka…
^ :k:
Diva
4
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka...
Wah HK
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka...
:)
Nain
6
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka...
ye wafa hath se jati hai ye sar jata hai :(
jiia
7
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka…
dekha mere fludey ka kamal khtay hi kia ho jata hy
nazar to tez hoti hi hi hy chahma bhi uter jata hy 
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka…
aisa 1 or faluda khilaya to Allah he hafiz hai inka phir 
tarash
9
Re: Zavia Jitna Nigahon Ka...
Qurbat-e-yaar se Mohsin ko baqa milti hy
**Zarf Parwany ka Chota hy jo mar jata hy
apny apny zaraf ki baat hai
**