~***~Zarooori Nahi Hay~***~

Zarooori Nahi Hay
Jau Saahil ki Geeli Khushk Rait Pur
Hath main Hath dai kur
Safar aur Tulatam kay Qissay sunaaey
Jazeeroan, Hawaon, Undaikhay Mausamoan
Aur Aankhoan say Aujhal Kinaroan pay khurray huay
Manziroan, Zayyiqaun aur Rangaun ki baatain kuray
Woh in wardatoan say guzra bhi hau…
Gur kahay “aao in Paraishan Maujaun ka Peecha kurain
Jau teray aur meray Qaddam choomti hain
Tulatum ki bayNaam Manzil say guzarti hain
Yeh daikhain kissey Dhoondti hain”
Tau chulnay say pehlay zara sauch laina…
**Zaroori nahi hay jau Andaikhay Raastoan ki khubrain sunaaey
Woh in Raastoan ka Shanaasa bhi hau
Kahin yeh hau, kay jub Samandur main Tum uskau dhoondau
Tau woh Saahil pay kharra Muskarata Rahay :slight_smile:
**

seemoooo :hug: boht achei

Re: ~~Zarooori Nahi Hay~~

*Zaroori nahi hay jau Andaikhay Raastoan ki khubrain sunaaey
Woh in Raastoan ka Shanaasa bhi hau
Kahin yeh hau, kay jub Samandur main Tum uskau dhoondau
Tau woh Saahil pay kharra Muskarata Rahay :)
*

[/QUOTE]

Beautiful.....what a choice.....

Beautyfull :k: