Ek dafa Zardari aur uska driver kahin jaa rahey hotey hain.
Iddam sey ek “puppy” gaari key saamney aa gaya aur bechara kuchlaagaya.
Zardari ney apney driver sey kaha, “Jao zara barabar key gaon mein jaa kar poocho yeh kisska thaa.”
Kuch der baad, driver waapis aata hai tau uskey galey main haar hota hai aur haath mein mithaai key dibbey.
Zardardi ney poocha, “yeh kya hai?”
Driver bola, “Kuch nahin saahib, maine to sirf itna hi bola key Zardari ka driver hoon, kuttey ka bacha mar gaya.”