Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain

**Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain

main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain

dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain

umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
aakhir waqt to saaray hi guzar jate hain

ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain**

Re: Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain

[QUOTE]
*umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
aakhir waqt to saaray hi guzar jate hain
*

[/QUOTE]
true

Re: Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain

**main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain

chinese main likha hai ya phir Moen jo Daro ki zaban main?
**

Re: Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain

Chinese main…:teary3: