Zarb ul Masl Ashaar

Re: Zarb ul Masl Ashaar

zindagi zinda dili kaa naam hai
murda dil khaak jiyaa kartey hein
**(imam bakhsh naasikh)

huey naamwar be-nishaan kaise kaise
zameen khaa gayi aasmaan kaise kaise
**(ameer menai)

Re: Zarb ul Masl Ashaar

naa jaanaa key duniya sey jaataa hai koi
bari dair ki mehrbaan aatey aatey
(daagh dehlvi)

Re: Zarb ul Masl Ashaar

acha :smack: mujy aj samj aai
mene thread perha nahi :stuck_out_tongue:

Re: Zarb ul Masl Ashaar

chalo kuch to seekha aap ne GS per aa ke :snooty:

Re: Zarb ul Masl Ashaar

:hoonh:

koftt sey jaan lab pey aai hay
hamne kia chot dil pe khai hy

aarzu us boland-0-balaa ki
kia balaa mere ser pe aaii hy

Re: Zarb ul Masl Ashaar

Bichra kuch es adaa se,,, aagay apko sab ko pata hai

tangdasti gar no ho ghalib
tandrusti hazar naimat hai

Re: Zarb ul Masl Ashaar

Dil per paani peeney ati hain umeedien
Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Re: Zarb ul Masl Ashaar

dl kay phaphoolay jal uthay seenay ka daagh say
is ghar ko aag lag gayee ghar k charagh say

Re: Zarb ul Masl Ashaar

Phool to do din bahar-e-jaaN fiza dikhla gaye
"hasrat un GhunchoN pe hai jo bin khile murjh gaye"

(Zauq)

Re: Zarb ul Masl Ashaar

uljhey hain paoon yaar k zulf-e-daraz main
lo aap apney daam main sayyad aagaya

(Momin)

Re: Zarb ul Masl Ashaar

Umr-E-Daraaz Mang Kar Laye The Chaar Din
Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein

(Bahadur Shah Zafar)