Zara Tehro!
Chalay jana,
Mujhy Kuch Tum Say kehna hai,
Zyada waqt nahi loon ga,
Zara si baat karni hai,
Na dukh apnay sunanay hain,
Na koi faryaad karni hai,
Na ye maloom karna hai,
Keh ab halaat kaisy hain,
Tumharay ham-Safar thay jo,
Tumharay sath kaisy hain,
Na yeh maloom karna hai,
Keh ab din raat kaisay hain,
Mujhy bas itna kehna hai,
Mujhy tum yaad aatay ho.
Bohot hi yaad aatay ho
Re: Zara Tehro
is main tu pakistan ke sare halaat ek sath hi bayaan hugaye :ekk:
Re: Zara Tehro
kehte hain jane walon ko peeche se bulana bura shagun hota hai