title is Zara Si Baat. This image has a typo
Restored attachments:
Re: zara si baat
welcome to the poetry forum TLK saab. :)
aazaad nazm bhali lagii...alfaaz kii chustii hai...Khayaalaat kii faravaanii hai...TKhaiyul ke bahaao meN ravaanii hai...magar parvaaz e taKhaiyul pas-maanda hai.
typo? ba-yak-sarf-e-nazar mujhe to imle kii koii aGhlaat nazar nahiiN aayii...aap agar nishaan-dehii farmaa deN to ai'n navaazish o karam ba aHsaan hogaa...shukriya.
Re: zara si baat
Original title of the Nazm is Zara See Baat. The image says 'RaSee Baat"
Re: zara si baat
oh..khodaa pahaaR, nikli choohiyaa!
maiN samjhaa thaa k bahot sii aGhlaat hoNgii…lol
lafz-e-“zaraa” kaa Harf-e-“ZAAL” hazaf ho gayaa…yeh bhii to ek “zaraa sii baat” hii to hai! ![]()
TLK saab, you’ve disappointed me!
j/k
Re: zara si baat
Oh the Nazm is of Amjad Islaam Amjad, so aap oon ko email kar ke bataadian regarding pas-maanda parvaaz e taKhaiyul
Re: zara si baat
One of most popular Nazm by Amjad Islam Amjad. It has been written around 30 years ago, iss liye aaj kal ke bachon ko pasmanda lag rahi hai ![]()
Re: zara si baat
mujhe kia pataa unkii hai…vaise, apun kii samajh meN jitnii aayii utnii ta’reef kar dii aur jo kamii lagii uskaa izhaar kar diyaa…![]()
vaise, unkaa email address aapke paas hai? maiN unkaa interview letaa huN! ![]()
lol…mujhe bachchhaa kahaa thank you…ab merii shaadii meN aasaanii ho jaayegii…30 saal aur intizaar kar sakuuNgaa.
vaise, har baRii duukaan kaa har pakwaan koii zaroorii nahiiN k aalaa hii ho! 'allaamah Iqbaal kii kam 'umrii ke daur kaa kalaam kabhii nazar se guzraa hai? ![]()
Re: zara si baat
aap ne kabhi rikshaw ke peeche likha huwa nahin dekha:
Pasand apni apni :cobra:
Allama ki shroo ki ghazlen ‘Tere ishq ki inteha chahta hoon’ , ‘dil ki basti ajeeb basti hai’ aur ‘jaan de kar tumhe jeene ki dua dete hain’ uss tarah ki shayari main kisi tarah bhi kam nahin
Re: zara si baat
haN saHeeH farmaayaa…pasand apni apni aur Khayaal apnaa apnaa ![]()
vaise, maiN ne 'allaamah ke jin kalaam kaa zikr kiyaa vo naayaab nusKhe haiN…m,aiN ne ek manuscript meN kahiiN paRhaa thaa…it’s so rare and hard to find…do ek she’r mujhe yaad aa gaye sunaa detaa huN yeh unkii bahot hii kam umrii kaa kalaam hai.
shutur murGh kii merii saraawii chali
bak TuT seedhii sawaarii hamaarii chali
aage yaad nahiiN