zara see der ko aay thay khuvab aankhon main
phir us kay baad musalsul azaab aankhon main
vo jis kay nam ke nisbat say roshan tha vajood
khatak raha tha vahee aaftab aankhon main
jinheen mata-e-dil-o-jan samjh rahay thay hum
vo aaienay be hoay bay-hijab aankhon main
ajab tarah ka hay mousam kay khak urrte hay
vo din be thay kay khilay thay gulab aankhon main
mere gazal tere vahshatoon ke khair ke hay
bhut dinoon say bhut iztiraab aankhon main
na janay kisee qayamat ka pesh-khema hay
ye uljhan tere be-inttisab aankhon main
Iftikhar Arif