ZARA SE BAAT
Zindagi kay malay mein
Khuwahishoon kay ralay mein,
Tum se kia kahen janan is kadar jhamalay mein
waqat ke rawanee hai bakht ke girani hai
sakht be zameenee hai,sakht lamakani hai
hijar kay samandar mein
Takht aur takhtay ke aik he kahani hai
Tum ko sunani hai
baat go zara se hai
baat umar bhar ki hai
Lamha bhar ke baatein kab do gharee mein hotee hein
dard kay samandar mein
un gint jazeray hein, beshumaar motee hein
Aankh kay jazeeray mein tum ne jo sajaya tha
baat is deye ke hai
baat is galay ke hai
jo lamhon kay khaloot mein chor ban kay aata hai
lafz kay faisiloon pay toot toot jaata hai
zindagee say lambee hai baat raytujagay ke hai
raastay mein kaisay milein baat takhliay ke hai
Takhliaya ke baatoon mein guftago izafee hai
piyar kernay waloon ko ik nigah kafee hai
ho sakay to sun jao akelay mein.
tum say kiya kahain jana is kadar jhamelay mein.