Zara to waqt do wafa kay pholoon ko panapnay main
Tum ko mujh ko ek doojay ko samjhnay main
Pal main toot jati hay aas ki yeah sirakti door
Par na choro issay , abhi to waqt hay toofan thamnay main
Haan abhi nazar aata hay kosson ka fasla magar
Bus zara hi der hay badbaan khulnay main
Umeed say hain khushk pattay bhi phir haray honay ko
Kaat lo yeah habs abhi, zara sa waqt hay meen barasnay main
Hum bhi jaldbaaz hain bohat, yeah socha hi nahi
Zara to waqt lagay ga waqt kay guzarnay main
by khamosh raat