Zara sa muskuraao na !

Zara Sa Muskuraoo Na!!..
Ghamo Ki Jo Faseel Hai..
Woh Is Qadar Taweel Hai..
Ghazab To Hai Ye Ek Nahi..
Faseel Dar Faseel Hai..

Tum Us Ki Har Mundair Par..
Aarzoo K Tail Say..
Charage Dil Jalaoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na..

Woh Phir say Yaad Agaya..
Jo Rooth Kar Chala Gaya..
Usay Khabar Bhi Nahi..
Kisi Ka Dil Dukha Gaya..

Ab Kisi Meethi Yaad May..
Shaboo Ko Jaag Jaag Kar..
Yeh Rat Jagay Manoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na..

Yeh Gham Hamesha Ayengay..
Yeh Dil Yunhi Jalayengay..
Magar Khushi K Aatay Hi..
Yeh Gham Bhi Bhool Jayengay..

Malool Ho K Gham Say Tum..
Zara Palko Pay Yunhi..
Sitaray Jhilmilaoo Na..
Yeh Aansoo Bhi Pee Jaoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na..
Zara Sa Muskuraoo Na.

Re: Zara sa muskuraao na !

Buhat khub.

Re: Zara sa muskuraao na !

Ab to muskuraana hi parrey ga :) Nice one. Thanx for sharing.

Re: Zara sa muskuraao na !

Zara Sa Muskuraoo Na.

nice sharing.........thnx!

Re: Zara sa muskuraao na !

nice one....thnx for sharing!

Re: Zara sa muskuraao na !

muskuraa doon...?

Re: Zara sa muskuraao na !

muskra dain app sub face vlue he berhay ga mera kon sa khercha ana hay or shaid blood bhi increase ho ga

bake pasndeege ka shukriya ..

halnkay kay copy paste kernay main koi kaamal ki bat to nahi hotee

Re: Zara sa muskuraao na !

Very nice :k:

Re: Zara sa muskuraao na !

areyy areyy ap to kharcha ki baat karnee lagee
mene to is liyee poocha ke koi itney israar se keh raha he to zaroor muskura daina chahiyee lekin kion ke aap se ajnabiyat he to ijazt laina zaroori samjha replay ka thanks
aap ki ID aap se zara match nahi kartee ......theek kaha na mene..?

Re: Zara sa muskuraao na !

:smiley: meri mushkarahat main daant bhi nazar aatay hain

good one :k: