GhamooN ki jo faseel hai
Wo is qader taweel hai
Ghazab tou hai ye ik nahi
faseel dur faseel hai
Tum is ki har munDeer per
Aarzo’oN k tail sey
Chiraagh-e-dil jalaao na
Zara sa muskaraao na
Zara sa muskaraao na
Wo phir sey yaad aa gaya
Jo rooth ker chala gaya
Ussey khayal bhi nahi
Kissi ka dil dukha gaya
Ab us ki meethii yaad main
ShabbooN ko jaag jaag ker
Ye rut-jagey manaao na
Zara sa muskaraao na
Zara sa muskaraao na
Ye ghum hameesha aaien gay
Ye dil hoon yi jalaaien gay
Magr khushie k aatey hi
Ye ghum bhi bhool jaien gay
Malool ho k ghum sey tum
Zara palkooN pe yoon hi
Sitaarey jhilmil-laao na
Ye aansoo bhi pee jaao na
Zara sa muskaraao na
Zara sa muskaraao na..
*
Ye ghum hameesha aaien gay
Ye dil hoon yi jalaaien gay
Magr khushie k aatey hi
Ye ghum bhi bhool jaien gay
Malool ho k ghum sey tum
Zara palkooN pe yoon hi
Sitaarey jhilmil-laao na
Ye aansoo bhi pee jaao na
Zara sa muskaraao na
Zara sa muskaraao na..