zara sa faisla karna............

zara sa faisla karna
bara dushvar hota hy
k jevan ki kahani ko
bayan.e.be-zubani ko
kaha’n se yad rakhna hy
kaha’n se bhool jana hy
kis se kitna batana hy
kis se kitna chupana hy
kaha’n ro ro k hansna hy
kaha’n hans hans k rona hy
kaha’n avaz deni hy
kaha’n khamosh rehna hy
kaha’n rasta badalna hy
kaha’n se loat ana hy
bara dushvar hota hy
zara sa faisla karna,

Re: zara sa faisla karna............

Welcome to Poetry forum ... and thanks for sharing :)