Zara Sa Dil Behal Jaye To Shayd Neend Aa Jaye

**
Zara si raat dhal jaye to shayd neend aa jaye**
Zara sa dil behal jaye to shayd neend aa jaye
**
Abhi to karb hain, bechanian hain, beqarari hai**
Tabiat kuch sambhal jaye to shayd neend aa jaye
**
Abhi to narm jhonkoon mein chupay hain teer yadon k
Hawa ka rukh badal jaye to shayd neend aa jaye
**
Yeh hansta muskrata qafila in chaand taroon ka

Zra aagay nikal jaye to shayd neend aa jaye
**
Ye tufan ansuoon ka jo umadd aya hai palkoon per**
Kisi soorat mein tal jaye to shayd neend aa jaye