Zara phir se kehna.

Taye kese sadiyoun ki pyas aur pani, zara phir se kehna
Bari dill ruba hai yea sari kahani, zara phir se kehna

Kahan se chala tha judai ka saya, nahi dekh paya
Ke rastay main thi Aanso-on ki rawani, zara phir se kehna

Hawa yea khabar to sunati rahay aur main sunta rahon
Badalne ko hai ab yea mosam khizani zara, phir se kehna

Mukar janay wala kabhi zindgi main khushi phir na paye
Youn hi khatam kar lain chalo yea kahani, zara phir se kehna

Sammay ke samandar kaha tu ne jo bhi, suna, par na samjhay
Jawani ki naddi main tha taiz pani, zara phir se kehna.