Zara Phir Say Kehna...........

Millay Kaisay Sadiyoun Key Piyaas Oor Paani, Zara Phir Say Kehna
Bari Dilruba Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Say Kehna

Kahan Say Challa Tha Judaii Ka Saya, Nahee Daikh Paya
Keh Rastay Main Thee Ansooun Key Rawani, Zara Phir Say Kehna

Hawa Yeh Khabar Tu Sunaati Rahay Oor Main Sunta Rahun
Badalnay Ku Hai Ab Yeh Mousam-e-Khizaani, Zara Phir Say Kehna

Mukar Jaanay Wala Kabhi Zindagee Main, Khushi Phir Naa Paiy!
Yunhi Khatam Kar Lain, Chaloo Yeh Kahani, Zara Phir Say Kehna

Samay Kay Samundar! Kaha Tu Nay Ju Bhee Sunna, Purr Na Samjhay
Jawani Key Nadi Main Tha Taiz Paani, Zara Phir Say Kehna

Re: Zara Phir Say Kehna…

asa koi song bhi tha na:konfused:

Re: Zara Phir Say Kehna…

Naaah me nay Tu nahi sunaaa…yeh to AIA key Shaairee hai:)

Re: Zara Phir Say Kehna…

song kay lyrics aur hain lakin us mai bhi zara phir say kahna hai :smiley:

sun lain

Re: Zara Phir Say Kehna…

Nice1 Muddi.. :k:

Re: Zara Phir Say Kehna…

Thank u Shumaisa:)

Re: Zara Phir Say Kehna…

okay:) n Thank u:)

Re: Zara Phir Say Kehna...........

muudi bhai apki iqbal wali entry kahan hai ? kya chal raha hai us entry ka post kijiye ga bhi ya nahi !

Re: Zara Phir Say Kehna...........


I am not able to post the same (Naalaiq Panda) iss liay woh Shub ko e-mail kar dee hai so that she shuld put it there:)

Re: Zara Phir Say Kehna...........

koi haal nahi apka simple to hai sab pehle notepad pe likh lia den wahan se copy kar ke yahan paste kardia ! pix upload kar ke un ko jahan adjust kar ke post karna hai woh codes bhi copy kar diye reply box mein ! may be apke charachters zyada ho gaye hongay aur images ka no bhi dats y woh post nahi ho raha hoga !
8 images allowd in one post ! aur charachters mujhe yaad nahi :) chaliye acha hai ab to kardia aap ne shab ko mail !

Re: Zara Phir Say Kehna...........


Chaloo Abh contest ka result announce hoo hee jaiy ga:) Oor Jahan Tak Hall Key baat hai main tu Iqbal Poetry contest main remarks parh kar sooch raha tha abh tu koi mustaqbil bhee nahee. Woh tu bhala ho AQ or GN kay jinn nay kuch kuch maira masla samjha:)

Re: Zara Phir Say Kehna…

sirfffffffffffffffffffffffff 7500.. :naraz:

Aap ka maslah kuch aur logon ne b samjha tha… magarr dil hi dil mein :blush:

Re: Zara Phir Say Kehna...........

gudd one

Re: Zara Phir Say Kehna...........

Nice 1 muddii :)

[QUOTE]
koi haal nahi apka simple to hai sab pehle notepad pe likh lia den wahan se copy kar ke yahan paste kardia ! pix upload kar ke un ko jahan adjust kar ke post karna hai woh codes bhi copy kar diye reply box mein !
[/QUOTE]

BB bachay main ne bhi bohet mushkil se post kiya ho nahi raha tha :(......kabhi txt ka size ajeeb ho jata tha kabhi pic upload nahi hoti thi :(

Re: Zara Phir Say Kehna…

nice muddii :k:

Re: Zara Phir Say Kehna...........

muddi......ab kisi aur shair ka kalaam bhi sunaao :)

Re: Zara Phir Say Kehna…

:slight_smile:

Re: Zara Phir Say Kehna...........


Thank you bheegi:)

Re: Zara Phir Say Kehna...........


Jii Jii Bilqul Sahee Farmaya aap nay iss extra effort kay elehda say marks millnay chahiaain:)

Thank for liking:)

Re: Zara Phir Say Kehna…

Thank u Sheal:)