Ghaza main Ahain hain aur Fughaan hai,
Zameer Duniya ka mar gaya hai.
Sitam-garoon ki Sitam gari hai,
chara sazoon main bay basi hai,
tao zalim ka chal gaya hai,
Zameer Duniya ka mar gaya hai.
Zameen falestine ki jal rahi hai,
fasl nafrat ki phal rahi hai,
zinda rehna bhi ik saza hai
Zameer duniya ka mar gaya hai
( Geo’s poem )