zameen pe chal na saka aasmaan se b gaya…
Kata k par ko parinda,uraan se b gaya…
Tabaah kar gaee pakkay makan ki khwahish..
Main apne gaaon k kachay makan se b gaya..
Paraai aag main kooda to kia mila tujhko..
Usay bacha na saka, apni jaan se b gaya..
Bhulana chaha to bhulanay ki inteha kar di..
Woh shakhs ab mere wehm o guman se b gaya..
Kisi k haath se nikla hwa wo teer ho main..
Hadaf ko choo na saka or kaman se b gaya…