Zameen khushk, Falak Baadlo’n Se Khaali hai…
Teri Nagaah-e-Karam Ka Nazar Sawaali hai…
Tu Mujh Ko Smjho gi, Eski Misaal Yuon lay lo…
Jo Aik Hath se Bajti Hai, Ye Wo Taali Hai…
Ye Shaam-e-Gham, ye Faza, Ye Gharab se chalti hawa…
Mai kaisy Hansu’n, Kay yeh Dosti misaali hai…
Wo mujh Ko Chor bhi day, Dard barh Nahi sakta…
Misaal-e-wasl, uski Har ada Khayali hai…
Ab tou Lagta hai, kay Jeeny ki Raah mushkil hai…
Chaly gi Jaan, jo ab tak bcha bcha Li hai…
Tu mujh ko tang Karo gi, tou Mai badal jao’n…
Nai jo Soch hai teri Tou ye Niraali hai…
Koi tou ja kay zara usko Eitna batla Day…
Kay hum Ne mehfil-e-gham phir sy Ab saja li hai…
Tu Saya Daar Riya Bn k kuch panah dena…
Kay hum nay dhoop-e-ghm se dar k hi panah li hai…
Salook-e-Yaar se Amir nidhal, thak kay rha…
Ab Ankh ashk se, dil siskiyo’n se Khali hai…!