zameeN kay is kinare per
ab rehna mushkil hai
chalo kaainat ki wus’atoN meiN koi doosra ghar talash karaiN
jahaN aman say dosti ho aur chaen say baat kareiN
keh ab yahaN to
har taraf aag or khoon ki holi hai
iswi sadi se pehlay ki tarah ki boli hai
mohazzib lehjay meiN liptay lafzoN ki ghurrahat
kisi bhi lamhay aasmaN se tapaktay bamoN ki aahat
ab yahaN raj hai zar ka
sikkoN kay chamaktay huway shams-o-qamar ka
har taraf bikhri heiN laashaiN bay gor-o-kafan
aur is bay qanoon jungle meiN
insaniat ho rahi hai rafta rafta dafan
aur maiN is soch meiN hooN gum
yeh meray masoom nannhay farishtay
kaunsay daur meiN baRhaiN gay
kaunsi fiza meiN saaNs laiN gay
nafratoN ki is gard aalood hawa meiN
kaunsi zameen meiN panah leiN gay
aao hum sab apnay apnay garebaN meiN jhaankaiN
aur yeh sochaiN
kya yeh hamari hi ghalatiyaN heiN
yeh jo taraj ho rahi heiN aaj
kya yeh hamari hi bastiyaN heiN
aur jo jawab-e-zameer ho ga
wohi paaoN ki apnay zanjeer ho ga
kahaN say milay gi zameen-e-mohabat
kahaN pay jhukay gi jabeen-e-mohabbat
yeh sab apnay hal-o-mustaqbil kay mathay per
bohat waazeh ho kay tasweer ho ga
jo bhi fasal hum lagaeiN gay aaj
wohi in farishtoN ki taqdeer ho gi
to kyun na hum isi zameen ko
mohabbat ki barish say seerab kar deiN
kaantay hata kar rastay kay saray
rasta in ka gulab kar deiN
dukhoN ko in kay sarab kar deiN
mustaqbil ko shadab kar deiN
Veryy nice… :k:
nice