Zamana howee zakham lagay howe

Barson ho gaye raakh bane huwe
Par dhuwa uthta baar baar hai

Zamana ho gaya zakhm lage huwe
kyun yeh rista baar baar hai

Mohobat dard ban kar reh gaye
Ashqon ka sailaab tutta baar baar hai

Jeetne ki koshish karte hai hamesha
Par mukaddar harta baar baar hai

Koi sahil pe pahuche bhi kaise
Yahan tufan gujarta baar baar hai

Har lamha badalti hai fitrat jinki
Unse dil darta baar baar hai