Zamaanay ki haqeeqat bhi tau pehchhani nahee'n jaatee

Tassawur kay hasee’n chehray say hairaani nahee’n jaatee
Zamaanay ki haqeeqat bhi tau pehchhani nahee’n jaatee

Badaltay hi nahee’n taywar teri yaado’n kay mausam kay
Tabhi aankho’n kay daryao’n ki tughyani nahee’n jaatee

Faraawaa’n bhi hai har shai aur garaani bhi hai roze afzoo’n
Faqat ik nasal-e-insaa’n hee kee arzaani nahee’n jaati

Nahee’n aatay ghareebo’n hi kay din achhay nahee’n aatay
Ameero’n tak kabhi koyee praishaani nahee’n jaati

Sayaah baadal thay pehnaawa falak ka, ab zamee’n ka hai’n
Yaha’n ab soorat-e-insaa’n bhi pehchaani nahee’n jaatee

Nawaabo’n aaur zardaaro’n ka qabza hai yahaa’n ‘ashraf’
Tabhi tau mulk say apnay yeh sultaani nahee’n jaatee
*

:k:

bhut khoob:k:

Badaltay hi nahee’n taywar teri yaado’n kay mausam kay
Tabhi aankho’n kay daryao’n ki tughyani nahee’n jaatee

Nice :k:

Re: Zamaanay ki haqeeqat bhi tau pehchhani nahee’n jaatee

:k: