niklo naa beniqaab zamaana kharaab hai
aur uss peh yeh shabaab, zamaana kharaab hai
sab kuch humain khabar hai naseehat na keejiye
kia honge hum kharaab, zamaana kharaab hai
matlab chupa huwa hai yahaan har sawaal main
do soch kar jawaab, zamaana kharaab hai
guppio tum aagaye ho na aakhir faraib main
kehte na thay hum janaab, zamaana kharaab hai ![]()