Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

**Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain

Paani Ko Bana Ke Roshnaai
SholoN Ka Jawaab Likh Rahay Hain

Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par
Mausam Ka Aazaab Likh Rahay Hain

Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz
Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain

Parhtay Hain Hum Tou Chehray
Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain**

Re: Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

**Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain

BBC hai ya CNN?
**

Re: Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

2no

Re: Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

phir to lie detector cheekh cheeck ke adh muwa ho jae ga :)

Re: Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

Hmm.............yehi to plan hy........