"Zakhmi unglion se ik nazam "

"Zakhmi unglion se ik nazam "

Wo larkie kisi aur basti ki rahnay wali thee
Jo pathar pe phool uganany ki khwaish mein
Ungliaan zakhmi kar bathi
Suna hai
Uss ki basti mein
Phool aur mohabat jewan ka lazmi hisa they
Wahan lafzon mein phool khiltay they
Aur aankhon mein Mohabat ki kirnay poothtati theen
Jab koi iss basti mein attaa
Chand achay lafzon ke badlay
Dharoon mohabat lay jataa
Ik din uss basti mein ik jadugar ayyaa
Aur uss ne assa mantar ponkha ke
Sari basti pathar ki ho gaye
Larkie jo kahen bahir gaye houie thee wapis loti thu
Uss ki dunyia badal chuki thee
Uss din se wo larkie
Jahan kahin bhi pathar dekhti hai
Unaye phool bananaye ki koshis mein
Zakhmi ho jati hai !!

( Fatma Hassan )

Re: "Zakhmi unglion se ik nazam "

:k:

sandleen wonderful!

saari dunyaa hamien pehchaanti hai
koye ham saa bhi na tanhaa ho gaa!

bhoot umdha hai :k:

Bahut khoob !

Tumhein khabar hi nahee hai ke koi toot gaya
Muhabbatoon ko bahut paedaar kartay huwe

Beautiful, Thanks for sharing Sandleen:)

W@H … Aunty Sandooo kia baat hai :k:

thanx
king fittaymoun :mad3:

bhut achay:k: