tumhari hi nigaahon ne kaha hai hum se ye aksar
tumhare jism par to rang saare bol padhate hain
mahak jaate hain gul jaise sabaa ke choom lene se
agar laharen mukhaatib hon, kinaare bol padhte hain
zabaan se baat karne mein jahan rusvaai hoti hai
vahaan khaamosh aankhon ke ishaare bol padhte hain
chupana chaahte hain un se dil ka haal hum lekin
hamare aansuon mein gam hamare bol padhte hain
teri paabandiyon se ruk nahin sakati ye fariyaadein
agar hum chup rahe to zakhm saare bol padhte hain
- Manzar Bhopali-