~ Zakhm ki ghehrae ka andaaza bhi nahee tha ~

**
Yeh maur bhi ayega kabhi socha nahee tha
Hajom-e-dostan main hogi tanhae kabhi socha bhi nahe tha

Kyo hogaye patthar se yeh paaooon hamaaray
Hum ne tu ussay mur ke dekha bhi nahee thaa

Kisi ke sath chalne ki umeed bhi kya hoti
Hamare sath tu apna saaya bhi nahee thaa

Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Jis ne ek baar pallat ke dekha bhi nahee thaa

Yeh kaise maan lain hum ko samajh na saka
Woh shaks jo iskadar saada bhi nahee thaa

Is taa’aluq nibhaanay mein gharz apni bhi thee shaamil
Ke tanha rehne ka hum mein hausla bhi nahee thaa

Jab yeh socha ke bhar hi jayega guzarte wakt ke sath
Tab zakhm ki ghehrae ka andaaza bhi nahee thaa

Shikwa jissay hamesha in aanso’oon se raha
Aaj yaad aaya tu aankh mein ek sitaara bhi nahee thaa**

Nice........

buhat khoob :k:

bhut achay:k:

Thanks Dilsay, DK and JL Bro

bohat khoob :~)

very nice arif gi :k:

and

welcome back

:)...

Kia baat hay … :k: :k:

kya tareef kartee hi chali jaoon????........ kae aap ki tu har post hi khoobsurat hoti hai........

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
kya tareef kartee hi chali jaoon????........ kae aap ki tu har post hi khoobsurat hoti hai........
[/QUOTE]

Agar tareef karna itna sakth hai tu mat karain tareef... :)
Nawazish ka shukriya !

Bhai Arif aik baar phir **Wah ** …

aap ki selection main meeTay dard ki ajeeb si lehrain uT’tnay lagi hain … walah Madhosh say honay lagay hain hum :mudhosh:

Ashkoon mein jo paaya hai woh shairon mein dhaaya hai
Is par bhi suna hai ke zamaanay ko gila hai
Jo taar se nikli hai woh dhun sab ne suni hai
Jo saaz par guzri hai woh kis dil ko pata hai

Pata pata hay ... aap tasalee rakho