Zakhm-e-dil ko

Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon
Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon
Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon
Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon
Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon

Re: Zakhm-e-dil ko

Khud ko main kia mahtaab likhoon :hehe:

Re: Zakhm-e-dil ko

sahi tou kaha hai :bummer:

Re: Zakhm-e-dil ko

Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon

Pehle aap ye gana ga lijiye:

Re: Zakhm-e-dil ko

its a sweet songggg

Re: Zakhm-e-dil ko

Bohat Khoob…:k:

Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon

Likh dyn koi masla nhi, Aapny waisy bhi election larna hyn…
choty/moty jhoot to bolty rehty hyn Siyasatdaan…