Zakhm dey ker malaal matt Karna

**Zakhm dey ker malaal matt Karna
Yaar mera khayyal matt karna

Jaag ker tum siyah raatoun mein
Maand apna Jamaal matt karna

Haal-e-dil jatana nigahoun sey
Lub sey koi sawaal matt karna

Na kabhi khoun k ashk tum roona
Zeest apni muhaal matt karna

Hijr ki raat gar muqadar hai
To phir shouq-e-wisaal matt karna

Bawafa bhi raho sitamger bhi
Koi aisa kamaal matt karna

Zindagi ban gayee hai sazaa
Marr bhi Gaya main to malaal matt karna **

Re: Zakhm dey ker malaal matt Karna

**
Zindagi ban gayee hai sazaa
Marr bhi Gaya main to malaal matt karna

:cryb: itni dukhi shayari
**

Re: Zakhm dey ker malaal matt Karna

First one :omg:

Second one :wub:

Re: Zakhm dey ker malaal matt Karna

Itni bhi nhi…Jitna Aapny Rona Daala howa hy…?p

:hmmm:

Re: Zakhm dey ker malaal matt Karna

**Jaag ker tum siyah raatoun mein
Maand apna Jamaal matt karna

**:k:…