*Woh sardeyoon ki dhoop mein
Baal sukhaati huwi
Khud hi kisi baat pe
Sharmaati huwi
Najaanay kaunse khwaab
Bunn rahi hai
Kaantoon ki chubhan se be-neyaaz
Baagh-e-tamanna se
Phool chunn rahi hai
Ussay khabar nahe
Waqt ke sagar mein wafa ke motti
Nahe mila kartay
Zakhm adhoray khwabon ke
Nahe sila kartay
Woh sardeyoon ki dhoop mein
Athlaati huwi
Waqt ke be-reham
Jhulasti dhoop se anjaan hai
Ke woh masoomeyyat ka paikar
Abhi nadaan hai …