Zakham

main ne gulshan ko bahroon mai he jalte dekha
kaakh main har kali aur phool ko milte dekhan

main to samjha tha ke gham waqat se bhar jaayega
ye muqadar bhi kisi haal sanwar jaayega
main ne socha bhi na tha gham ki koi hud he nahi
rooz he gham ko naya roop badalte dekha

aaik muddat si hue hai mujhe tanhaai main
kho gya jaane kahaan aks bhi parchaai main
ab to main hoon mera gham hai mere werane hain
dashat he charon tarhaft raah main chalte dekha

maa teri khushbu saba rooz mujhey laati hai
tere aanchal ki hawa chu ke guzar jaati hai
kuch nahi paas mere tere tasswar ke siwa
bebasi main younheen har raat ko dhalte dekha

kesey barsaat hui aaas ke baadal bhi na thay
aankh bhar aai kisi zakham se ghayal bhi na thay
hum ne duniya se kayee dard chupaaye lakin
dil ko bardashat ki har hud se he guzarte dekha

murdh ke dekhoon to kayee mordh nazar aate hain
yaad ke phool khayaloon main bikhar jaate hain
raat he raat andherey hain faqat yadain hain
chand ko gham ki ghataoon main machalte dekha

bhool sakta nahi maazi ki kahani koi
har ghardi saamne aati hai nishani koi
choot sakta nahi umeed ka daaman uss se
jis ne hasrat ka janazah na nikalte dekha

Re: Zakham

wow,,,,bhot khoobsurat,,,,kya baat hai

Re: Zakham

:(

Re: Zakham

:( so touchy and sad :(

Re: Zakham

Very touchy :-(
Allah aapko sabr ata karay aur aapki mother kay darjaat blund karay ,unki maghfarat farmaaey Ameen....

Re: Zakham

kum hai ye gham jo main Ghazalon main bhayan karta hoon
raat din ashk ke dariya ko rawaan karta hoon
tab he likhta hoon jab bardaashat se bahar ho sitam
main kkhuda se ye gila rooz kahaan karta hoon.

Re: Zakham

NICE and SAD again :frowning:

Re: Zakham

Jisney hasrat ka janaaza na nikaltey dekha...

Very very touchy :(

Re: Zakham

very touchy indeed...:(