~Zakham Mehakta Hai~

meri ankhon mein zara jhank ke dekhe to koi
kitni masoom tamannaon ne dam tor diya

kiya khabar tum ke kabhi teri tamanna aae dost
ashq ban ker meri palkon pe ubhar aae gi

abb kahan jaen baharoon ki tamanna le ker
dil ka har zakham mahekta hai gulistan ki tarah

phir meri dunya mein woh hulchal machane aae hain
phir se khuwabaida tamannaen jaagane aae hain

ban sanwar ker mughe samjhane na aao warna
phir tamannae dil machal jaya kare gi

tamanna hai dekhoon jee bhar ke laiken
tabassum zair lab hi kho gaya hai

iss qadar khae hain dhoke mein ne raah-e-shauq mein
abb se rehbar ki tamanna hai na rehzin ki talash

yeh aur baat hai ke na ho juraat sawaal
aaya to hoon hujoom tamanna liye hoi

Re: ~Zakham Mehakta Hai~

nice one !

Re: ~Zakham Mehakta Hai~

:k::slight_smile: nice one

Re: ~Zakham Mehakta Hai~

Lovely…:k::k: