zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

**mai bhool jaao’n jisay ye wo hadsa bhi nahee’n
wo aaj aisay mila jaisay janta bhi nahee’n

meray khayal ki dehleez pai wo aa baittha
ab uss sai batch k guzarnay ka raasta bhi nahee’n

zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say
ye aur baat k apni koi khata bhi nahee’n

kisay khabar thi k sooraj bhi rooth jayega
uss ik makaan say jisska koi diya bhi nahee’n

sajaye rehta hai ashko’n k deep palko’n par
ajeeb shakhs hai kutch moo’n se bolta bhi nahee’n

hamari samt sabhi raastay simat aaye
tumhari samt abhi ye qadam utha bhi nahee’n

kisi ki raat hai roshan charagh ki manind
kisi makan mai bujhta huwa diya bhi nahee’n

lo ham ne zeest bhi kardi usee k naam "SAROSH’
jo ham ko pyar se ik bar daikhta bhi nahee’n**

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

**
zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say
ye aur baat k apni koi khata bhi nahee’n

:hmmm: mayke ke liya taanga bulwa ke balla ko kuch din door bhaga do
**

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

**ajeeb shakhs hai kutch moo'n se bolta bhi nahee'n

goonga to nahin
**

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

mujy yi title bohat bura laga hy :naraz:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

ye rakh len? Pathan ka poot, Pal main auliya pal main bhoot

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

Wow…Gud Idea…:bulbuli:

:yahoo:…kal

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

enter b pathan hein

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

:aj:

:naraz:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

ye kis ne uda di?

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

taanga pasand nahin aaya.. chung chi mangwa lete hain W-11 part 2

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

Ye chek nhi kia…?:hmmm:
Ab kia kAroon…?:frowning:

Jiski jaan py Bani hoi hy us sy bhi to Poochyn…?:stuck_out_tongue:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

:eek:…main or Pathan…???:hayaa:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

:hmmm:…pata kryn bro…ye Afwa kisny phyla`e hy…?

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

vo orr hoti hein jany wali
adha ghar hamara b hy :rolleyes:

MENE TO BAS PUCHA THA enter ka

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

**meray khayal ki dehleez pai wo aa baittha
ab uss sai batch k guzarnay ka raasta bhi nahee'n

moti khatoon se ishq karna buzrugi ki nishani hai
**

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

Qabza mafia

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

yi b to koe insaniyat nahi k ager koe kahy
MUJSE BAAT NHAI KERNI AAENDA
orr jawab yi ho

SHUKER HY 5 MNT SAKOON SE GUZREN GE :x2:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

jab baat takraar tak mehdood ho jae.. to khamoshi naimat lagti hai… Muqawwee ne farmaya

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

me to kehti hun us waqt gher k sab bartan tor dene chaiyn :hbk:

Re: zahay naseeb wo naraaz ho gaye ham say

bartan paison se aate hain aur paise darakhton pe nahin ugte.. mayke se lae huw bhale toR do :hehe: