Himmat-e-iltija nahii baaqii
zabt ka hosla nahii baaqii
ek terii deed chiin gaii mujh se
werna duniya meiN kya nahii baaqii
apnii mashq-e-sitam se haath na kheench
main nahii ya wafa nahii baaqii ???
teri chashm-o-alam nawaaz kii kher
dil meiN koi gila nahii baaqii
ho chuka khatam ehd-e-hijr-o-wisaal
zindagi meiN maza nahii baaqii …!!!