zabt -e-ghum ka aik ye alaam bhi dikha sakhti hoon main!!

[thumb=C]lake4.JPG[/thumb]

**
Tu samjhta kia hai mujhay
baat hai kuch aur warna tujh ko pa sakhti hoon main

dil main dharkan, thartharatay lab, nazar main istiraab
haan iss alaam main bhi raaz chupa sakhti hoon main

jazab-e-dil ,pindaar-e-jazab-e-dil say tu waqif nahin
dono alam, say guzar kar tujh ko paa sakhti hoon main

zabt -e-ghum ka aik ye alaam bhi dikha sakhti hoon main
ankh main ansoo hain lekin muskura sakhti hoon main

khudh ko hasti say tu beygana bana sakhti hoon main
bholnay walay tujhay bhi kia bhula sakhti hoon main

Ghum ki woosatoon ko kaun dekhay aur kyoon
inteha-e- dard main bhi muskura sakhti hoon main !!

Lamhay!!**

Zabardast.. wah.. Lajawaab :biggthumb

:flower1: :flower2:

Re: zabt -e-ghum ka aik ye alaam bhi dikha sakhti hoon main!!

Bahut khoobsurat Lamhay …:k::k::k:

A jee wha jee wah.....

Re: zabt -e-ghum ka aik ye alaam bhi dikha sakhti hoon main!!

Bohat khoob Lamhay:k:…thanx for sharing.

wow lamhay appi its beautiful:k::k:
thanks

thanks Gkk , dilsay and amal ,golden scorpion and Amarbail!

dil main dharkan, thartharatay lab, nazar main istiraab
haan iss alaam main bhi raaz chupa sakhti hoon main

wah kia kehney jee aap key diya :rotato:

buhet he ala :k:

Re: zabt -e-ghum ka aik ye alaam bhi dikha sakhti hoon main!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
[thumb=C]lake4.JPG[/thumb]

**
Tu samjhta kia hai mujhay
baat hai kuch aur warna tujh ko pa sakhti hoon main

Lamhay!!**

[/QUOTE]

Good, really good, i like it. aik sher zehn mein aya hay, think, its worth to sahre.

Khud ko itna sasta kerna merey bas ki baat nahien
ju chahye mein us ka hoo loon, aisa ho sakta hay

NICE :k::k:

thanks suraj, cuteepie ,chodryand vivacious!