salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khai’r hoNge!
kuchh ‘arsa qabl mujh par geet likhne kaa bhoot sawaar huaa thaa…kaii geet likhe the magar shaayad yahaN GS par kabhii chaspaaN nahiiN kiye…aaj jasaarat kar rahaa huN…ummeed e qawii hai k aapkii taba’-e-naazuk par baar-e-giraaN na guzregi!
to, geet mulaaHizah farmaaiye:**
mohabbat se mil kar bichhaR jaane_waale
mujhe tujh se koii shikaayat nahiiN hai
:
:
:
reh-e-'aashiqii kaa hai dastuur itnaa
zabaaN kholne kii ijaazat nahiiN hai
jafaaoN ko terii uThaataa huuN dil par
tere 'ishq ke tiir khaataa huuN dil par
:
:
:
magar yeh taRapnaa mujhe bhaa gayaa hai
ki ab yeh musiibat, musiibat nahiiN hai
banaate haiN daryaa mere ashk bah kar
hai tuufaaN mere dil kaa maujoN meN aksar
:
:
:
chamak kyaa hai “Sahbaa_jii” bijlii ke andar
mere 'ishq kii gar karaamat nahiiN hai **
faqat aapkii aaraa, islaah aur hausalah_afzaaii kaa mutamannii,
_______KKF
Re: zabaaN kholne kii ijaazat nahiiN hai … meraa ek geet!
thankoo…aap ise zaraa gaa ke to sunaayeN ham sab ko!
ek Khayaali filam banaa rahaa huN maiN jiskaa naam hai “chor kii daaRhii meN tinkaa”…maiN us filam ke is gaane meN aapkii aawaaz iste’maal karnaa chaahuuNgaa!
munaasib mo’aavizah milegaa aur naam bhii alaiHdah hogaa!