Na chal itnay ghuroor say is mitti par,
Tujhay ho jaana hai dafan issi mitti main,
Burq kaprhon say tujhay kiya farq parh jaaye ga,
Saath dega tera kafan issi mitti main,
Chorh gaya Qaroon aur na jaane kitnay Firaun,
Apnay saaray khazanay issi mitti main,
Khaa gayi yeh zameen kaee barhay mulk o shahar,
Dafan hain kaee zamanay issi mitti main,
Naram bistar pay tu sonay ka apna shauq na rakh,
Aakhir mar kar to tu soye ga issi mitti main,
Gunahon ki saza hamesha milti hai kiyun kay,
Milay ga woh jo tu boye gaa issi mitti main,
Nikalta hai is say chandi aur kahin say sona,
Mojood hain naadir adwiyaat issi mitti main,
Jo seena cheer kay is ka nikaaltay hai jawaahir,
Din unkay liye hai raat issi mitti main,
Ujarh gayeen na jitni kitni bustiyaan is main,
Gharaq huay kayee dayaar issi mitti main,
Pi gayee yeh zameen kitnay aansuon ki nami,
Kitni yaadon ka hai khumaar issi mitti main,
Kitnay jigar walay hain woh log saaray jo,
Chorh aaye apnay piyaaron ko issi mitti main,
Un maan baap ka kiya hota hoga aalam,
Jo dafnaatay hain sahaaron ko issi mitti main,
Nigal gayee na jaanay kitnay chaahnay waalon ko,
Aankh band kar kay woh sotay hain issi mitti main,
Aisay zaalim say ab hum shikwa gila kaisay karen,
Woh hum khaatay hain jo botay hain issi mitti main,
Sur ko neechay kar kay chalna seekh lo Azam,
ragarh jaaye gi gir kar naak issi mitti main,
Apnay wujood ko tum laafani naa samjho,
kabhi bunna hai is ko raakh issi mitti main.
Lajawab…**