zaahir hai dhab-e-duniyaa saraapaa mere aage

zaahir hai dhab-e-duniyaa saraapaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

mat soch ki badle.nge na kismat ke sitaare
badlaa hai ghaDi bhar me.n zamaanaa mere aage

deewaana kaha karte hai.N mujhko sabhi naahak
laaye.n koi daanaa kabhi mujh saa mere aage

har shakl se waaqif hu.n mai.N dekhe hai.N sabhi ra.ng
mushkil hai koi dard chhupaanaa mere aage

rudaad-e-gham-e-dil ko ghazal mein kaha aise
jisko bhi sunaayii wohi royaa mere aage

kyo.N phir ubhar aayaa tere maathe pe pasiinaa
kyo.N zard hai phir ra.ng tumhaaraa mere aage

naa Jaane kahaa kyaa hue ruswaa sar-e-mahfil
ai kaash teraa zikra na hotaa mere aage

ahwaal ko Saadiq kabhi likh bhejo kisii roz
gar yu.N hai ki kahte nahi bantaa mere aage