yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

  • saath chal mauj-e-sabaa ho jaise*
  • log yuun dekh kar hans dete hain*
  • tuu mujhe bhool gayaa ho jaise*
  • ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa*
  • yuun na mil hamse Khudaa ho jaise*
  • maut bhii aaii to iss naaz ke saath*
  • mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise*
  • aise anjaan bane baithe ho*
  • tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise*
  • hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin*
  • tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise*
  • zindagii beet rahii hai “daanish”*
  • ek bejurm sazaa ho jaise *

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

Amezing Sharing Dania:lajawab:

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

wow ............. bht umdha .... liked it

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

Thanks :)

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

Very Nice Dania..:k:

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

super sharing ....

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

:)

Re: yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

achi sharing Dania