Tum yeh kaise juda hogaye
Har taraf har jagah hogaye
Apna chehra na badla gaya
Aaenay se khafa hogaye
Jaane walay gaye bhi kahaan
Chaand soraj ghata hogaye
Bewafa tou na woh thay na hum
Yun huwa bas juda hogaye
Aadmi ban’na aasaan na thaa
Sheikh ji parsaa hogaye