~*~ Yun hausla dil ne haara kab thaa ~*~

Yun hausla dil ne haara kab thaa
Sartaan mera sitaara kab thaa
Laazim thaa guzarna zindagi se
Bin zeher peye guzaara kab thaa
Kuch pal ussay aur dekh saktay
Ashqoon ko magar ganwaara kab thaa
Hum khud bhi judai ka sabab thay
Us ka hi qusroor sara kab thaa
Ab aur ke saath hai tau kya dukh
Pehle bhi koi hamaara kab thaa
Ek naam pe zakhm khil uthay thay
Qaatil ki taraf ishaara kab thaa
Aye ho tau raushni huwi hai
Is baan pe koi taara kab thaa
Dekha huwa ghar thaa per kisi ne
Dulhan ki tarah sanwaara kab thaa …

Parveen Shakir

Re: ~~ Yun hausla dil ne haara kab thaa ~~

zabardast...

Re: ~~ Yun hausla dil ne haara kab thaa ~~

Ah Ha!!!! Beautiful! I always enjoy Parveen Shakir's poetry. Thanx for sharing!