salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
ek Hadees-e-Nabawii [saws] ko madd-e-nazar rakhte huye maiN ne yeh she’r kahaa hai:
ek SaHaaba [r.a.] ne Rasoolullah [SAWS] se 'arz kiyaa … “yaa Rasool-ul-(A)llah mujhe nijaat kaa tariiqa bataaiye jis se mujhe jannat mil jaaye”. Aap [SAWS] ne farmaayaa** - “kia maiN tumheN sab baatoN kaa nichoR na bataa duuN?” … Aap [SAWS] ne apnii zabaan ko pakaR kar farmaayaa … “is par qaaboo pa lo!”**…saHeeH BuKhaarii Shareef.
insaan kii zabaan uskii sab se baRii dushman hotii hai [your tongue is your worst enemy!]
**
unkii zabaan meN chhupe aare haiN be-shumaar
chal jaayeN jo diloN pe to paare haiN be-shumaar**
**
[hidden in his/her tongue saws innumerable,
if used, cuts hearts into pieces innumerable!]**
Re: your tongue is your worst enemy…merii ek Ghazal kaa matl’a
vo is liye k maiN jo dekhtaa huN use mushaahida samajh ke dil o dimaaGh o chashm meN maHfooz kar letaa huN mushaahidaat hii insaan ke tajurbe huaa karte haiN aur ek tajurbaa kaar jab baat kartaa hai to us meN vazan hotaa hai…baRii bhaarii baat kahtaa hai … lol … magar, aisaa kahne waalaa:
**
shaa’ir thaa, maiN na thaa!!! **
Re: your tongue is your worst enemy…merii ek Ghazal kaa matl’a
lol…shukria ta’reefii kalimaat kaa:
ab, shaadii shuda mard Hazraat to kaheNge hii k har koii apnii biwii kii “lan-taraanii” ke bajaaye “la’n-taraanii” roz sune! meraa to kahnaa hai k “be_Gham kii gaz-bhar kii zabaan aur gaz-bhar ke DanDe se door hii rahiye…jitnii door rah sakeN!”
haN jii, bilkul…astaGhfaar astaGhfaar and more astaGhfaar!
Re: your tongue is your worst enemy…merii ek Ghazal kaa matl’a
lol…janaab, unkii aaNkheN to ek dukaan haiN jahaN nazroN ke teer, aaNkhoN ke aare, muskaan kii talwaar, maar-e-zulf, nazar kii bijliyaaN, qadmoN ke bomb vaGhaira vaGhaira!
Re: your tongue is your worst enemy…merii ek Ghazal kaa matl’a
hahaha…vaise, baqaul Ghalib agar HaseenaayeN baGhair kisii hathiyaar ke bhii maidaan-e-jang meN aa jaayeN to bhii faateH hoNgii…kiuN k:
**
is saadgii pe kaun na mar jaaye, ai Khudaa!
laRte haiN aur haath meN talwar bhii nahiiN!**