Re: Your spouse as ur best friend!
I think your spouse could be a friend only or best friend. It depends on both sides behaviour with each other.
I think if your spouse is not good for you semetimes even behave like dushman or budtareen dushman laikin aap uska dil jeet saktay hain agar aap us say bohat aur bepanah pyar kartay hain aur khuloos kay saath uskay liaay achcha kartay jaatay hain uski buraion kay bawajood to aik na aik din usko Allah zaroor samajh day deta hai. Allah aap ka waqt kabhi na kabhi zaroor lata hai.
Agar aap ka koi bhi dushman agar yay samajh lay aap kay undaaz aur khuloos say kay uskay intehai dushmani kay bawajoood bhi aap us say pyar kartay hain aur uskay liaay naik neeati rakhtay hain to phir aik din jeet zaroor hoti hai.
Haan mera khiaal hai agar zara si bhi spouse main insaniaat ho to wo aap ka na sirf achcha dost balkay bohat bahtareen dost ho sakta hai.