yaar…masla ye hay keh…mujhay jo naam pasand hayn…woh mayray abba huzoor nay mayray cousins kay bachon kay rakhdyay…to ab jo naam mujhay pasand hayn..woh already taken hayn
waysay larrkyon mayn…dua, romaysa, aisha. (All taken)
larrkon mayn…umair, kaleem, aqib…these are all my friend’s names
romaysa and dua are twins :D…and aisha is their sister
also, fatima…also taken …
dekha jayega yaar…waysay bhi humaray haan mayray ammi abbu hi sab kay naam rakhtay hayn…to mayray bachon kay bhi unhon nay hi rakhnay hayn…to apnay ko kya tension…
mian…shadi hay…guddi gurrya ka khel nahin…bees saal ki umr mayn shadi karnay ki parri hay? pehlay apna future set karo…career banao…phir in chakaron mayn parrna. shadi kay saath zimmay daariyan aaati hayn…pehlay apni life set karo…phir wife set karo…warna tumhari life tabah hay.
mayn to 28-30 tuk shadi na karon…par mayn iklota hon..ammi abba ko jaldi hay…to phansa hua hon.