**FaasloN ko takalluf hey hum sey agar
hum bhi be’bas nahi be’sahaara nahi
khud Unhi ko pukaareiN ge hum door sey
raastey meiN agar paaoN thak jaaeiN ge
Jesey hi Sabz Gumbad nazar aaey ga
bandagi ka kareena badal jaey ga
sar jhukaaney ki fursat miley gi kisey
khud hi aaNkhoN sey sajdey tapak jaeiN ge
Hum Madiney meiN tanha nikal jaeiN ge
aur galyoN meiN qasdan bhatak jaeiN ge
hum wahaN jaa ke waapas nahi aaeiN ge
dhoond’tey dhoond’tey log thak jaeiN ge
Unki chashm-e-karam ko hey is ki khabar
kis musaafir ko hey kitna shaoq-e-safar
hum ko Iqbal JAB BHI ijaazat mili…
hum bhi Aaqa ke Darbaar tak jaaeiN ge**
I am not capable of selecting a NAAT as a favourite for I believe even we combine all the naat together, we will not be able to fulfil the right of the Prophet:saw:
I have had the hounour of reading two naat during my school days each year on Eid Milaad-un-Nabi for almost 7-8 years besides other contemprory naat.
one is: FaasloN ko Takalluf hai hum saY agar
and the other: Zahe-muqaddar Huzoor-e-Huq saY salaam aayaa piyaam aayaa
beside those I can not even recall the count of how many naat have been my favourite over the years… From Noori Mehfil pe chaadar tani Noor kee to MadinaY kaa saffar to HUm faqeeroN ko madinaY kee galli achi laggi to Mehboob kee mehfil ko Mehboob sajaataY haiN to yeh sub tumhaara karam hai Aaqa kaY baat abb tukk banni huvee hai to Ya Muhammad Muhammad maiN kehtaa rahaa, Noor kaY motiyoN kee laRi bunn gayee… to Allah:swt: knows how many more… can’t even remember all…
I want to share one beautiful Naat completely here with one of it’s video as well:
Tebaa kaY waali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah
Jalway haiN saaraY teraY hee dum saY aabaad aalam teraY karam saY baaqi har ik shaY naqsh-e-Khiyaali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah
TeraY liye hee duniyaa bani hai neelaY falak kee chaadar tani hai tu agar naa hotaa duniyaa thee khaali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah QadmoN maiN teraY arsh-e-bareeN hai Tujh saa jahaaN maiN koi naheeN hai
**KaandhaY pe teraY ** kamli hai kaali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah
Mazhab hai tera sub kee bhalaai maslak hai tera mushkil kushaai dekh apni ummat kee Khastaa haali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah
Hai Noor teraa shams-o-qamar maiN teraY laboN kee laali sahar maiN PhooloN naY teri khushbu churaali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah
Tu naY jahaaN kee mehfil sajaai TaareekiyoN maiN Shamma’ jaalaai Har simt chaai thee badlee kaali saaraY nabi teraY dar kaY sawaali Shah-e-Madinah