Your Favorite shair from Hamd / Naat

Mere hathon se aur mere honton se khushboo jati nahi…
Kay main ne ism-e-Mohammad ko likha bohat aur chooma bohat

Lets share your favorite ashaar from Hamd / Naat.

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

Safaid uska siyah uska, nafs nafs hai gawah uska
jo shola e jaan jala raha hai bujha raha hai, wohi khuda hai

Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar
Kis musaafir ko hai kitna shauq-e-safar

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

Talaash Us Ko, Na Kar Butoo Ma, Vo Jaan Letaa ha , Neytaain Be...

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

Walehanaa Jo Tawaf-e-Roza-e-Aqdas Karein
Mast-o-Be khud Wajd Karti Un Hawaon Ko Salam

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

http://i44.tinypic.com/359k7ie.jpg

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

:teary3:
Yeh rah e haq hai! sambhal kay chalna! yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par, to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat say aashiq taraptay say chor aaya houn main
Bulaway kay muntazir hain lekin, na subho aaya na shaam aaya.
:flower2::flower2:
Dua jo nikli thi dil say aakhir, palat kay maqbool ho kay aayi
Woh jazba jis main tarap thi sachi, woh jazba aakhir ko kaam aaya.
Khuda tera hafiz o nigehban, Oh rah e bat’ha kay janay wale

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

http://www.pegham.com/images/imported/2009/03/25.gif

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

of all time

[QUOTE]
Mehboob ki mehfil ko mehboob sajate hain
jaate hain wuhi jin ko sarkar bulaate hain
[/QUOTE]

Meetha meetha hai mere Muhammad ka naam
Is par laakhon croron darood-o-salaam

Na-khuda hain mere jab Muhammad (SAW)
Kaise doobay ga mera safeena
Mere seenay main yaad-e-Muhammad
Mere honton pe zikr-e-madeena

Re: Your Favorite shair from Hamd / Naat

MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
kamaal-e-khallaq zaat Uski
jamaal-e-hasti hayaat Uski
bashar nahi azmat-e-bashar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Woh sharah-e-ehkaam-e- Haq Ta'ala
Woh khud he Qanoon... Khud hawala
Woh khud he Qur'an... khud he Qari
Woh aap mehtaab aap Haala
Woh aqs bhi.. aur aaina bhi
Woh nukta bhi ...khat bhi ...da'ira bhi
Woh khud nazaara hai.. khud nazar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

sha'oor laaya Kitab laaya
Woh hashr tak ka nisaab laya
diya bhi kaamil nizaam Us ne
aur Aap he inqualaab laya
Woh ilm ki aur amal ki had bhi
azal bhi Uska hai aur abad bhi
Woh har zamane ka Raahbar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Jo Apna daaman lahoo se bhar le
museebatein Apni Jaan par le
Jo tegh zan se lade Nihatta
Jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
Aseer dushman ki chaah mein bhi
mukhalifon ki nigaah mein bhi
Ameen hai Sadiq hai Motabar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Woh khalwaton mein bhi saf ba saf bhi
Woh iss taraf bhi woh uss taraf bhi
mahaaz o mimbar thikaane Us ke
Woh sar ba sijda bhi sar ba saf bhi
kahin woh Moti ..kahin Sitaara
Woh jame-ee-yat ka ista'ara
Woh subh-e-tahzeeb ka Gajar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI