Younhi hansi hansi main hum

Younhi hansi hansi main hum Dillo'n se khel jaatay hain Koi choti si teekhee baat Koi chubhta hua jumla Koi zehar aalood lehja Koi bezarar si zomaani baat Sunney walay kay dil par ghao laga jati hai Phir kitni hi talaafi kay marham lagao Woh aansoo'n jo aankh se girta hi nahi Andar hi andar jam jaata hai Baraf par giray, Mosam kay qatray ki tarah Aur woh baraf toh shayad waqt ki garmi se, pighal jaati hai Magar woh qatra jab pighalnay lagta hai, phail jaata hai Barh jaata hai, bas khatam nahi hota Aur yuon hi hansi hansi main hum Dillo'n se khel jaatay hain-

Re: Younhi hansi hansi main hum

:(

Re: Younhi hansi hansi main hum

kisne khela aap se choclate nahi di kia :5: